is gosha-e-uzlat meñ tanhā.ī hai aur maiñ huuñ
ma.ashūq-e-tasavvur se yakjā.ī hai aur maiñ huuñ
yā ghar se qadam merā bāhar na nikaltā thā
yā shahr kī galiyoñ meñ rusvā.ī hai aur maiñ huuñ
jis dasht meñ naaqe kā guzrā na qadam hargiz
us dasht meñ majnūñ sā saudā.ī hai aur maiñ huuñ
nāseh kī na maiñ mānūñ hamdam kī na kuchh samjhūñ
is ishq-o-mohabbat meñ ḳhud-ārā.ī hai aur maiñ huuñ
har-chand junūn-e-ishq hotā hai ḳhirad-dushman
ai 'mus.hafī' is par bhī dānā.ī hai aur maiñ huuñ