Mushafi Ghulam Hamdani

us rashk-e-mah ki yaad dilati hai chandni

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
us rashk-e-mah kī yaad dilātī hai chāndnī
har raat mujh ko aa ke satātī hai chāndnī
āb-e-ravāñ meñ husn milātī hai chāndnī
har mauj meñ ghaTī nazar aatī hai chāndnī
jā baiThte haiñ ham lab-e-dariyā pe jab kabhū
kyā jhumke apne ham ko dikhātī hai chāndnī
sāmān-e-bazm-e-bāda maiñ kartā huuñ jis ghaḌī
aa chāndnī kā farsh bichhātī hai chāndnī
sahrā meñ jā ke dekh ki har rūd-e-ḳhushk ko
ham rañg-e-jū-e-shīr banātī hai chāndnī
jab dekhtī hai duudh sā pinDā tirā miyāñ
ḳhajlat se aab hī huī jaatī hai chāndnī
pyāre añdherī rāteñ haiñ aise meñ mil le tū
phir varna chāñd chaḌhte hī aatī hai chāndnī
gar vo bhī qadr-dāñ ho to be-jazba-e-talab
rūThe hue sanam ko milātī hai chāndnī
kyūñkar na maiñ jalūñ shab-e-hijrāñ meñ 'mus.hafī'
bin yaar mere jī ko jalātī hai chāndnī
Top Urdushayar.com