Mushafi Ghulam Hamdani

tarsa na mujhko khinch ke talwar mar Dal

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
tarsā na mujh ko khīñch ke talvār maar Daal
gar maar Dālnā hai to yak-bār maar Daal
āshiq jo terī zulf kā ho us ko tū sanam
le jā ke tīra-shab pas-e-dīvār maar Daal
kubk-e-darī ke laakh qafas hoñ jahāñ dhare
dikhlā ke un ko shoḳhi-e-raftār maar Daal
kuchh ham ne tere haath to pakḌe nahīñ miyāñ
gar jāntā hai ham ko gunahgār maar Daal
sayyād tujh ko kis ne kahā thā ki fasl-e-gul
mujh ko qafas meñ kar ke giraftār maar Daal
jo jāñ-ba-lab ho hasrat-e-dīdār meñ tirī
dikhlā ke us ko jalva-e-ruḳhsār maar Daal
saudā.idān-e-ishq kā jhagḌā chukā kahīñ
le jā ke un ko barsar-e-bāzār maar Daal
teġh o kamand maañg kar abrū o zulf se
āshiq bahut hue haiñ jafā-kār maar Daal
gar ye bhī ho sake na to kahtā hai 'mus.hafī'
do chaar kar le qaid meñ do-chār maar Daal
Top Urdushayar.com