paañv meñ qais ke zanjīr bhalī lagtī hai
yuuñ hī dīvāne kī tasvīr bhalī lagtī hai
apnī kyā tujh se kahūñ tū hī kah apnī mujh se
ki mujhe terī hī taqrīr bhalī lagtī hai
ḳhush-numā hai tire aariz pe ye ḳhat yuuñ jis tarah
gird qur.ān ke tafsīr bhalī lagtī hai
jab mire ḳhuun meñ hotī hai vo rañgīñ qātil
us ghaḌī kyā tirī shamshīr bhalī lagtī hai
hotī hai āshiq o ma.ashūq kī jis meñ tasvīr
apnī āñkhoñ meñ vo ta.amīr bhalī lagtī hai
merī tasvīr ko ġhamnāk tū khīñch ai maanī
shakl ushshāq kī dil-gīr bhalī lagtī hai
'mus.hafī' baaje hai naubat to dar-e-'āsif' par
kyā hī āvāz-e-bam-o-zer bhalī lagtī hai