Mushafi Ghulam Hamdani

jalta hai jigar to chashm nam hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
jaltā hai jigar to chashm nam hai
kyā jaane ye kis kā mujh ko ġham hai
jaave to kanisht-e-dil meñ ho kar
to ka.abe kī raah do qadam hai
dekhe hai vo dhukdhukī meñ jab se
tab se mirā dhukdhuke meñ dam hai
tasvīr tū us kī zulf kī dekh
naqqāsh ye chiin kā qalam hai
gar dīda-e-ġhaur se tū dekhe
hastī jise kahte haiñ adam hai
itne jo hue haiñ ham bad-ahvāl
ye hazrat-e-ishq kā karam hai
har-chand us kī hai har adā shoḳh
manzūr apnā jo ik sanam hai
par dāñtoñ tale zabāñ dabānā
bedād hai qahr hai sitam hai
samjho na faqīr 'mus.hafī' ko
ye vaqt kā apne muhtasham hai
Top Urdushayar.com