kyā batā.eñ kyā kal shab āḳhirī pahar dekhā
kār-gāh-e-gardūñ par chāñd kā safar dekhā
jalva-gāh-e-hastī meñ husn jalva-gar dekhā
haa.e ham-nafas mat pūchh kab kahāñ kidhar dekhā
aah vo shab-e-pur-nam uf vo nuur kī mahfil
darmiyāñ sitāroñ ke jalva-e-qamar dekhā
us jamāl-e-uryāñ ko sirf ik nazar dekhā
phir vahī nazar aayā jab jahāñ jidhar dekhā
haa.e ai mujassam husn rashk-e-nūr-o-tābānī
tū ne mere ḳhirman ko ḳhuub phūñk kar dekhā
shab Dhalī to ai 'sālim' mah nasheb meñ utrā
ik chakor ko dekhā aur ba-chashm-e-tar dekhā