zindagī bas vo zindagī hogī
jo kisī hijr meñ kaTī hogī
umr-e-rafta ke ġham meñ kyoñ ro.eñ
terī dahlīz par paḌī hogī
aap kī diid aur chashm-e-faqīr
kis qayāmat kī vo ghaḌī hogī
chāroñ jānib se tiir aa rahe the
shist to aap ne bhī lī hogī
mujh pe āvāze kasne vāloñ meñ
ik numāyāñ sadā tirī hogī
raunaq-e-rāh meñ na gum honā
aglī manzil bahut kaḌī hogī
dil kī sham.eñ jalā rakho pyāre
aadh raste meñ raat bhī hogī
ham jise maut gin rahe haiñ yahāñ
duuje aalam meñ zindagī hogī