tanhā.iyoñ kī raat baḌī duur tak ga.ī
chhoTī sī ek baat baḌī duur tak ga.ī
ham to har imtihāñ meñ hue suraḳh-rū magar
majbūrī-e-hayāt baḌī duur tak ga.ī
tishna-labī to ziist kā auj-e-kamāl thī
go ki lab-e-furāt baḌī duur tak ga.ī
vaa.iz tumhārī jannat-o-dozaḳh kī ḳhair ho
rindoñ kī kā.enāt baḌī duur tak ga.ī
bichhḌe har ek moḌ pe sāthī bahut magar
ik yaad mere saat baḌī duur tak ga.ī
ham ne sabhī ko chāhā muqarrar hudūd meñ
lekin tumhārī zaat baḌī duur tak ga.ī