Shahzad vasiq

kuchh izala to karen aap bhi taDpane ka

Shahzad vasiq

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1974
kuchh izāla to kareñ aap bhī taḌpāne kā
dil jo toḌā hai to phir sochiye harjāne kā
na koī ashk na baazū na koī zulf nasīb
koī masraf nazar aayā nahīñ is shāne kā
raat kyā ḳhuub tamāsha thā galī meñ un kī
shaiḳh-jī pūchhā kiye rāsta mai-ḳhāne kā
do ghaḌī dil to bahal jaatā hai tasvīr ke saath
mas.ala hal nahīñ hotā tire dīvāne kā
vasl meñ qurb kī lazzat se bhī mahrūm rahe
us pe ehsāñ bhī rahā aap ke aa jaane kā
is salīqe se gayā haath chhuḌā kar zālim
ki nasha lams kā thā dukh thā bichhaḌ jaane kā
saath aisā thā mayassar ki safar kaTtā gayā
ham ne sochā hī nahīñ raah meñ sustāne kā
sham.a ne dekh ke hī lau bhī baḌhā.ī hogī
har patiñge meñ kahāñ zarf hai jal jaane kā
aap ke chehre kī tamsīl kahā hai is ko
haq to bantā hai yahāñ phuul ke itrāne kā
Top Urdushayar.com