dil-o-nazar pe koī iḳhtiyār bhī to nahīñ
ye shutar aise magar be-mahār bhī to nahīñ
manā hī lete use ham kaḌī riyāzat se
vo zūd-ranj ki parvardigār bhī to nahīñ
na jaane kyoñ hameñ sharmindagī hai maazī par
agarche aisā koī dāġhdār bhī to nahīñ
ye kaifiyat ki koī sarḳhushī nahīñ lekin
tirī judā.ī tabī.at pe baar bhī to nahīñ
hisāb-e-sūd-o-ziyāñ kis tarah se mumkin ho
huzūr ishq koī kārobār bhī to nahīñ
ta.alluqāt meñ kaise koī tanāsub ho
koī halīm koī burdbār bhī to nahīñ
kahāñ paḌāv kareñ kis ke āsare pe kareñ
ki duur tak shajar sāya-dār bhī to nahīñ
maqām-e-faiz milā aur na ham hue mansūr
hamārī manzil-e-maqsūd daar bhī to nahīñ
gunah savāb shahīd-o-yazīd che ma.anī
ye qatl-gāh koī kār-zār bhī to nahīñ