Shahzad vasiq

mausam aane pe shajar baur se bhar jata hai

Shahzad vasiq

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1974
mausam aane pe shajar baur se bhar jaatā hai
jaane kis or magar saarā samar jaatā hai
aa ke baiThe ho tum aur vaqt-e-sahar aa pahuñchā
kis qadar jald bhalā vaqt guzar jaatā hai
jab bhī beTī kī judā.ī kā samāñ sochtā huuñ
ek ḳhanjar mire siine meñ utar jaatā hai
tū ne dekhā hī nahīñ muḌ ke zarā ai ḳhūbāñ
koī kūche se tire ḳhāk-ba-sar jaatā hai
ġham na kar tū jo taḌaptā huuñ maiñ gaahe gaahe
jaate jaate hī mohabbat kā asar jaatā hai
kaisī tāsīr hai is husn-e-fusūñ-sāz kī bhī
koī jiitā hai koī dekh ke mar jaatā hai
ik zarūrat ne jhukāyā mujhe kis kis dar par
mire andar ye koī soch ke mar jaatā hai
kaisī mushkil meñ mujhe Daal diyā ai daurāñ
maiñ ki dastār bachātā huuñ to sar jaatā hai
Top Urdushayar.com