Shahzad vasiq

sar-nigun mausam-e-bahaar mein hai

Shahzad vasiq

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1974
sar-nigūñ mausam-e-bahār meñ hai
ye shajar kis ke intizār meñ hai
tāb-e-nazzāra aañkh ko bhī nahīñ
dil bhī kab apne iḳhtiyār meñ hai
ziist ho baat ho ki majlis ho
lutf gar hai to iḳhtisār meñ hai
vo bas ik baar chhū ke guzre the
ruuh tak lams ke ḳhumār meñ hai
kaisā ulTā safar hai jīvan kā
ye chaḌhāv kisī utaar meñ hai
ziist karne meñ lutf kyā DhūñDheñ
kyā maza vaqt-e-musta.ār meñ hai
baat kuchh to ajiib hai ab ke
kaisī talḳhī mizāj-e-yār meñ hai
Top Urdushayar.com