mahsūs lams jis kā sar-e-rah-guzar kiyā
saayā thā vo usī kā jise ham-safar kiyā
kuchh be-Thikāna kartī rahīñ hijrateñ mudām
kuchh merī vahshatoñ ne mujhe dar-ba-dar kiyā
rahnā nahīñ thā saath kisī ke magar rahe
karnā nahīñ thā yaad kisī ko magar kiyā
tū aa.ina bhī aap thā aur aks bhī thā aap
tere jamāl hī ne tujhe ḳhush-nazar kiyā
vo jis Dagar milegā vahīñ mar miTūñgā maiñ
tum dekhnā safar kā irāda agar kiyā
jab zindagī guzār dī aayā hai tab ḳhayāl
kyuuñ us kā intizār 'zafar' umr bhar kiyā