qurs-e-ḳhur ko dekh kar taskīñ rakh ai mehmān-e-sub.h
tā-dahān-e-shām pahuñchātā hai rāziq nān-e-sub.h
ma.anī-e-raushan jo hoñ to sau se behtar ek sher
matl.a-e-ḳhurshīd kaafī hai pa.e-dīvān-e-sub.h
sair-chashmī diid ke bhūkoñ kī dekho kahtī hai
mah panīr-e-shām hai ḳhurshīd-e-tābāñ nān-e-sub.h
sadqe us parvardigār-e-pāk ke jis ne kiyā
bahr-e-tifl-e-ġhuncha paidā shīr-e-be-pistān-e-sub.h
sub.h-dam ġhā.eb hue 'anjum' to sābit ho gayā
ḳhanda-e-behūda par toḌe ga.e dandān-e-sub.h
vasl kī shab aañkh dikhlā kar ye anjum kahte haiñ
lo qayāmat aa.ī mashriq se uThā tūfān-e-sub.h
dekhe vo gulshan jo din-do-din rahe yaañ misl-e-gul
ham to shabnam-sāñ 'nasīm' ek dam ke haiñ mehmān-e-sub.h