ḳhum na ban kar ḳhud-ġharaz ho jā.iye
misl-e-sāġhar aur ke kaam aa.iye
abr-e-rahmat sunte haiñ naam aap kā
ḳhāksāroñ par karam farmā.iye
aap āhū-chashm haiñ aahū nahīñ
ham se vahshat kī na liije aa.iye
sabr ruḳhsat ho to jaane dījiye
be-qarārī aa.e to Thahrā.iye
jauhar-e-teġh-e-nigah khul jā.egā
muñh na mere zaḳhm kā khulvā.iye
dil meñ hai dikhlā.iye tāsīr-e-ishq
ThanDī sāñsoñ se unheñ garmā.iye
sard aaheñ bharte haiñ jab ham 'nasīm'
kahte haiñ vo ThanDe ThanDe jā.iye