Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi

jab na jite-ji mere kaam aaegi

Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1811-1845
jab na jīte-jī mire kaam aa.egī
kyā ye duniyā āqibat baḳhshā.egī
jab mile do dil muḳhil phir kaun hai
baiTh jaao ḳhud hayā uTh jā.egī
gar yahī hai is gulistāñ kī havā
shāḳh-e-gul ik roz jhoñkā khā.egī
dāġh-e-saudā ek din degā bahār
fasl is gul kī shagūfa lā.egī
kuchh to hogā hijr meñ anjām-e-kār
be-qarārī kuchh na kuchh Thahrā.egī
sandalī rañgoñ se maanā dil milā
dard sar kī kis ke māthe jā.egī
ḳhāksāroñ se jo rakkhegā ġhubār
o falak badlī tirī ho jā.egī
jab karegā garmiyāñ vo shola-rū
sham-e-mahfil dekh kar jal jā.egī
jaañ nikal jā.egī tan se ai 'nasīm'
gul ko bū-e-gul havā batlā.egī
Top Urdushayar.com