āvāz ke patthar jo kabhī ghar meñ gire haiñ
aaseb ḳhamoshī ke 'sabā' chīḳh paḌe haiñ
pāzeb ke naġhmoñ kī vo rut biit chukī hai
ab sūkhe hue patte is āñgan meñ paḌe haiñ
chhup jaa.eñ kahīñ aa ki bahut tez hai bārish
ye mere tire jism to miTTī ke bane haiñ
is dil kī harī shāḳh pe jo phuul khile the
lamhoñ kī hathelī pe vo murjhā ke gire haiñ
is ghar meñ kise dete ho ab jā ke sadā.eñ
vo haare thake log to ab so bhī chuke haiñ