Saba Ikram

zindagani hans ke tai apna safar kar jaegi

Saba Ikram

Hazaribagh, Jharkhand, India

1945
zindagānī hañs ke tai apnā safar kar jā.egī
yuuñ ajal kā mo.ajiza ik roz sar kar jā.egī
kyā ḳhabar thī chaah us kī dil meñ ghar kar jā.egī
mujh ko ḳhud mere hī andar dar-ba-dar kar jā.egī
pahle apnā ḳhuuñ to bhar duuñ zindagī kī maañg meñ
jab use jaanā hī Thahrā ban sañvar kar jā.egī
phuul le jā.egī saare toḌ kar ḳhvāboñ ke vo
merī shāḳh-e-zindagī ko be-samar kar jā.egī
aa.egī ik roz vo shab kī siyāhī oḌh kar
merī sub.h-e-zīst ko raushan sahar kar jā.egī
rok lo is dard kī devī se haiñ sab raunaqeñ
ye ga.ī gar ruuTh kar dil ko khañDar kar jā.egī
log kahte haiñ ki vo laḌkī salīqa-mañd hai
aa ga.ī is ghar meñ to is ghar ko ghar kar jā.egī
Top Urdushayar.com