maiñ to lamhāt kī sāzish kā nishāna Thahrā
tū jo Thahrā to tire saath zamāna Thahrā
aane vaale kisī mausam se hameñ kyā lenā
dil hī jab dard kī ḳhushbū kā ḳhazāna Thahrā
yaad hai rākh-tale ek sharāre kī tarah
ye jo bujh jaa.e havāoñ kā bahāna Thahrā
jhuuT sach meñ koī pahchān kare bhī kaise
jo haqīqat kā hī meyār fasāna Thahrā
aks bikhre hue chehroñ ke haiñ har samt 'shamīm'
dil hamārā bhī koī ā.ina-ḳhāna Thahrā