mujrim huuñ agar mujh ko sazā kyoñ nahīñ dete
apnā huuñ to phir mujh ko sadā kyoñ nahīñ dete
kuchh aur nahīñ shikva shikāyat hī karo tum
is bujhtī mohabbat ko havā kyoñ nahīñ dete
tum lauT bhī jaao to asar der talak ho
malte hue ye haath dabā kyoñ nahīñ dete
phir dekh ke sāhab jī usī ḳhaas nazar se
ummīd ke ġhunchoñ ko khilā kyoñ nahīñ dete
ik baat hī kahnī hai magar log bahut haiñ
kuchh vaqt mujhe in ke sivā kyoñ nahīñ dete