tumhārā jaanā tumhāre jaane pe guzrī aahaT se baat karnā
hameñ to aadat sī ho ga.ī hai ki sarsarāhaT se baat karnā
kabhī bhī ham par khulā nahīñ hai ki asl meñ us ne kyā kahā hai
ga.ī havāoñ kī tarah kānoñ meñ sansanāhaT se baat karnā
agar ho patjhaḌ to mere ye zard haath hāthoñ meñ thaam lenā
jo sāvanoñ kī jhaḌī lagī ho to gungunāhaT se baat karnā
vo din kisī kī junūn-ḳhezī se haar kar baat maan lenā
kisī ke rañgīñ mutālbe sun ke tamtamāhaT se baat karnā
sunā hai muddat talak use ye jabīñ-sitāra sī yaad aa.ī
bahut dinoñ us ko yaad aayā thā jhilmilāhaT se baat karnā
laboñ kī surḳhī batā sakī na to kyā huā baat ho ga.ī hai
kalā.iyoñ ke tamām gajroñ kā muskurāhaT se baat karnā