Mohammad Aazam

mohabbat chahti hai jis ko afsana bana dena

Mohammad Aazam

Rudauli, Uttar pradesh, India

1941
mohabbat chāhtī hai jis ko afsāna banā denā
use kaafī nahīñ hotā hai dīvāna banā denā
par-e-gul se judā ham ne na dekhā barg-e-bulbul ko
nazar meñ aa gayā sūrat ko be-ma.anā banā denā
huā thā dil jo ḳhālī do ghaḌī ko ham na samjhe the
ki ho jā.egā ye ka.abe ko but-ḳhāna banā denā
kisī ne bhī na dekhā iztirāb-e-tishnagī merā
agar dekhā to bas shīshe ko paimāna banā denā
nahīñ ab chāhtā ye vahshī-e-be-ḳhānumāñ terā
ki aanā aur ḳhāk-e-pā se kāshāna banā denā
kisī ik teġh-e-jauhar-dār ko fāzil jilā de kar
use āsān hai bastī ko vīrāna banā denā
ham apnī jaan se dete tumheñ sadqa mohabbat kā
magar tum ne to chāhā is ko jurmāna banā denā
Top Urdushayar.com