Mohammad Aazam

sab hai zer-e-bahs jo zahir hai ya poshida hai

Mohammad Aazam

Rudauli, Uttar pradesh, India

1941
sab hai zer-e-bahs jo zāhir hai yā poshīda hai
aur nazar se apnī parda aañkh kā bosīda hai
jab mile tūmār-e-āgāhī se fursat dekhnā
kin tahoñ meñ ramz-e-aql-e-nā-rasā poshīda hai
kaun sā aañsū ho maqbūl-e-bunā-gosh-e-qubūl
kis sadaf ko kyā ḳhabar hai us meñ kyā poshīda hai
be-amāñ is darja vahshat-ḳhez hai sa.ī-e-junūñ
yak jahāñ sahrā hamāre zer-e-pā poshīda hai
ham musāfir aisī manzil ke hue jis ke liye
rāsta zāhir hai lekin fāsla poshīda hai
sarsar-e-hastī meñ zinda hai abhī tak ek lau
shola-e-dil zer-e-dāmān-e-havā poshīda hai
ek āñdhī ḳhaak tak merī uḌā kar le ga.ī
maiñ kahāñ huuñ sāhibo ye mājrā poshīda hai
Top Urdushayar.com