Mohammad Aazam

us se mil kar bhi KHalish dil mein raha karti hai

Mohammad Aazam

Rudauli, Uttar pradesh, India

1941
us se mil kar bhī ḳhalish dil meñ rahā kartī hai
vasl ko hijr se kyā chiiz judā kartī hai
vo na mānegā pa har shab koī mauhūm sī aas
ik diyā ban ke dar-e-dil pe jalā kartī hai
auj-e-ausān pe chaḌh chaḌh ke mohabbat kī sharāb
jab utartī hai to kuchh aur nasha kartī hai
tujh meñ kyā baat hai ai dil ki vafā-kesh ye aql
merī bāñdī hai magar kaam tirā kartī hai
nā-gahāñ pañja-e-qātil se maiñ kyā chhūT gayā
us kī hasrat mire jiine kī duā kartī hai
āsmānoñ meñ uḌā karte haiñ phūle phūle
halke logoñ ke baḌe kaam havā kartī hai
Top Urdushayar.com