Mohammad Aazam

habs talluqat mein dur na ja idhar udhar

Mohammad Aazam

Rudauli, Uttar pradesh, India

1941
habs ta.alluqāt meñ duur na jā idhar udhar
ġhair havā nahīñ ki bas chuum liyā idhar udhar
dekh rahī hai kisht-e-dil ashkoñ kī bevafā.iyāñ
ab ke baras baras ga.ī saarī ghaTā idhar udhar
jaan mirī shikast se shor tirā hai har taraf
saath mire bikhar ga.ī merī navā idhar udhar
dil ko mire tirā ye shauq tujh se bhī thā azīz-tar
terī galī ke ās-pās maiñ jo rahā idhar udhar
dekhiye kab kahāñ koī kaise ise uchhāl de
sikka-e-vaqt par haiñ naqsh shāh-o-gadā idhar udhar
raah meñ ruk ke kis liye pūchheñ kisī se rāsta
ḳhvāb kā ye safar hai aur ḳhvāb meñ kiyā idhar udhar
hosh jo thā so ek umr mujh ko kahīñ na le gayā
kam to nahīñ ki le gayā us kā nasha idhar udhar
Top Urdushayar.com