agar na māneñ na samho ki jānte hī nahīñ
zidoñ kī baat bhī hai kuchh muġhālate hī nahīñ
mutālibāt-e-mohabbat haiñ maiñ huuñ aur tum ho
ajiib hai ye musallas ki zāviye hī nahīñ
mire junūñ ke bharose pe kah diyā us ne
ham aa.e aap ke ghar par to aap the hī nahīñ
bayāz-e-dil kī kareñ to kareñ kahāñ islāh
kitābat aisī huī hai ki hāshiye hī nahīñ
isī muhīt meñ vāpas palaT ke aanā thā
to ban ke abr kabhī jā se ham uThe hī nahīñ
ujaaḌ ho gayā sahrā-e-dil ki jaise yahāñ
ġhazāl o zaiġham o kargas kabhī rahe hī nahīñ
ab is maqām pe bīm-o-rajā haiñ be-ma.anī
ki chāhte haiñ use jis ko chāhte hī nahīñ
yahī hai rāsta ab dūriyāñ baḌhā.eñge
baḌhīñ ham us kī taraf kaise fāsle hī nahīñ
koī fareb ki ham jis se dil ko bahlā.eñ
talāsh karte haiñ ḳhat us ne jo likhe hī nahīñ