ik nashtar-e-nigāh hai is se ziyāda kyā
dam bhar kī aah aah hai is se ziyāda kyā
gardan se tauq-e-ḳhauf-o-talab ko nikāl dekh
phir koī bādshāh hai is se ziyāda kyā
tāqat agar hai paañv meñ sahrā kā ḳhauf kyuuñ
bas ik kushāda raah hai is se ziyāda kyā
vo to havā thī band na muTThī meñ ho sakī
ab rañj ḳhvāh-maḳhvāh hai is se ziyāda kyā
bāloñ ko apne chhoḌ mirī shām-e-ġham ko dekh
phir dekh kuchh siyāh hai is se ziyāda kyā
har-chand aaj bhī hai vahī kasrat-e-umīd
haarī huī sipāh hai is se ziyāda kyā
ik kañkarī uchhāl ke toḌo tilism-e-tāb
paanī meñ aks-e-māh hai is se ziyāda kyā
haiñ kāmyāb jin kā yahāñ jī nahīñ lagā
duniyā kī dars-gāh hai is se ziyāda kyā
ghaTtā hī jā.egā ye latāfat ke saath saath
ye jism zād-e-rāh hai is se ziyāda kyā
ḳhūn-e-jigar se sher likho aur mā-hasal
dam bhar kī vāh-vāh hai is se ziyāda kyā