gudāz tak hī ḳharābī hunar sambhālegā
ye ḳhāk-e-soḳhta kab kūza-gar sambhālegā
ḳhatar-pazīr huuñ us be-dilī meñ girya bhej
ye zalzala hī mire bām-o-dar sambhālegā
tū hī to ik sadaf-e-dil kī aabrū hai magar
ye aab kitne dinoñ tak guhar sambhālegā
ye dekhnā hai ki tūfān-e-regzār meñ tū
zamām-e-samt ki zād-e-safar sambhālegā
girānī-e-shab-e-ḳhāmosh-e-be-hisāb ke ba.ad
hisāb jitnā hai murġh-e-sahar sambhālegā
milāo ishq meñ kuchh rañj-e-rozgār se aab
bahut na bāda-e-ḳhālis jigar sambhālegā