Meer Mehdi Majrooh

sar ko tan se mere juda kije

Meer Mehdi Majrooh

1833-1903

sar ko tan se mire judā kiije

ye bhī jhagḌā hai faisla kiije

mujh pe tohmat sanam-parastī

shaiḳh sāhab ḳhudā ḳhudā kiije

laal ko us ke lab se kyā nisbat

ye bhī ik baat hai sunā kiije

lo vo aate haiñ jald hazrat-e-dil

fikr-e-sabr-e-gurez-pā kiije

ham ġhanīmat usī ko samjheñge

lo vafā vāda-e-jafā kiije

apnā kiina banūñ ki yād-e-raqīb

kis tarah us ke dil meñ kiije

yaañ to matlab kuchh nahīñ rakhte

jo kisī se kaheñ ravā kiije

mudda.ī ghaat meñ rahte haiñ

kyuuñ ki vaañ arz-e-mudda.ā kiije

dukh jo 'majrūh' ne sahe ġham se

us kyā sharh-e-mājrā kiije

mar gayā vo pa yaad aatā hai

us kahnā ki aah kyā kiije

saḳht mushkil hai yaar khulnā

ye girah kis tarah se kiije

sabr ke fā.ede bahut haiñ vale

dil bas meñ na ho to kyā kiije

ġhair pāsbāñ darbāñ

kis ke iltijā kiije

us vo aañkh ab nahīñ 'majrūh'

jald kuchh apnā sūjhtā kiije

Top Urdushayar.com