kuchh ġharaz ham ko nahīñ hai ki kahāñ le jaa.e
chal diye bas dil-e-dīvāna jahāñ le jaa.e
vo galī ḳhuld se behtar hai bas itnā sun kar
koī vāqif ho to ham ko bhī vahāñ le jaa.e
merī āvāz huī jaatī hai us kī āvāz
ab hai kyā duur ki us tak ye fuġhāñ le jaa.e
mauj-e-sarkash ko ḳhabar-dār kiyā thā ham ne
us ko jaanā thā jahāñ jū-e-ravāñ le jaa.e
gul nahīñ deñge kabhī bulbul-e-muhtāj ko zar
ḳhvāh sarmāya ye sab bād-e-ḳhizāñ le jaa.e
ishq meñ us ke bas ik jaan hai baaqī ye bhī
dekhiye kab ġhazab-e-ham-vatanāñ le jaa.e
merī bāteñ hī ḳhush aatī haiñ use jaise koī
kar ke ātish nazar-andāz dhuāñ le jaa.e