chāhnā ye hai jo ham dil-zadagāñ chāhte haiñ
naf.a matlūb hai aisā ki ziyāñ chāhte haiñ
lutf-e-yak-jur.a se aise meñ banegā kyā kaam
daur-e-avval meñ to ham ratl-s-girāñ chāhte haiñ
chāhte haiñ jo vo hotā nahīñ ham se be-uzr
aur be-uzr jo hotā hai kahāñ chāhte haiñ
kāvish-e-aql se khulte nahīñ dil ke uqde
ye to vo gul haiñ jo khilte haiñ jahāñ chāhte haiñ
sub.h-e-kāzib haiñ siyah-dil ye sabīhān-e-savād
ham hī saada haiñ ki us vaqt azaañ chāhte haiñ