is be-ḳhudī meñ ruḳhsat ḳhuddārī ho ga.ī hai
mushkil huī jo āsāñ dushvārī ho ga.ī hai
ik dāġh-e-dil pe bhī ab apnā nahīñ tasarruf
ye sab zamīn goyā sarkārī ho ga.ī hai
is bojh kī na pūchho gaThrī hai dil ye jis ko
jitnā kiyā hai halkā kuchh bhārī ho ga.ī hai
shikva nahīñ sitam kā par ab ye dekhtā huuñ
tum ko sitamgarī kī bīmārī ho ga.ī hai
koī talab na hasrat kuchh shauq hai na aadat
ab terī yaad merī lāchārī ho ga.ī hai
lahje kī pairvī se taptā hai 'mīr' koī
vo 'mīr' ḳhatm jis par fankārī ho ga.ī hai