hone ko ab kyā dekhiye kyā kuchh hai aur kyā kuchh nahīñ
manzar abhī hai sāmne vo bhī ki jab thā kuchh nahīñ
us kī hinā par vaar de fil-faur dil kī saltanat
pyāre kisī ke haath meñ tā-der rahtā kuchh nahīñ
mat jaan dil ke sāmne kaafī hai ik chehra tirā
aise añdhere ke liye itnā ujālā kuchh nahīñ
kitne gharauñde ret ke maujeñ bahā kar le ga.iiñ
har baar ik dil ke sivā aise meñ TuuTā kuchh nahīñ
sūrat ko ma.anī ke ta.iiñ darkār hai kuchh fāsla
jab tak thā aage aañkh ke maiñ ne to dekhā kuchh nahīñ