vahī madār-e-tamannā vahī sitāra-e-dil
fareb-ḳhurda-e-māzī-o-hāl-o-mustaqbil
tilism-ḳhāna-e-hasrat meñ gardisheñ kab tak
vo ism de ki ho āseb-e-justujū bātil
dil-e-kushāda meñ mere ho anjuman-ārā
adū ba-rañg-e-kudūrat jahāñ na ho dāḳhil
hazār sho.ala lapaktī hai aarzū ab bhī
mire lahū se charāġhāñ hai kūcha-e-qātil
rah-e-vafā ke musāfir kī bebasī mat pūchh
hameñ uThā.e hue chal rahī hai ḳhud manzil
ḳhushī kī baat bhī ab sogvār kartī hai
vo mehrbān bhī ab ho to is se kyā hāsil
zamīñ pe dil kī lahū ke daraḳht haiñ goyā
ye sher hote nahīñ āsmān se nāzil