Mohammad Aazam

subuk mujhko mohabbat mein ye kaj-uftad karta hai

Mohammad Aazam

Rudauli, Uttar pradesh, India

1941
subuk mujh ko mohabbat meñ ye kaj-uftād kartā hai
jo maiñ hargiz na kartā vo mirā ham-zād kartā hai
bikhar kar bhī usī ko DhūñDhtī haiñ har taraf āñkheñ
jo mujh ko ik nigah meñ ik se lā-ta.adād kartā hai
huī haiñ shor-e-dil meñ ġharq ta.abīreñ sadāoñ kī
magar itnī ḳhabar hai koī kuchh irshād kartā hai
qayāmat hai jo ab ye ḳhuftagān-e-ḳhāk-e-dil jāgeñ
koī is kohna vīrāne ko phir ābād kartā hai
kahā ho kuchh kabhī mujh se to ai chāragaro jānūñ
maiñ kyā kah duuñ dil-e-bīmār kis ko yaad kartā hai
sarāmad ishq hai paatā hai koī dil nasīboñ se
phir apne vāste ma.ashūq ḳhud ījād kartā hai
burā kahnā mujhe us kā vazīfa hai to hone do
vo ḳhud ko yuuñ mire aaseb se āzād kartā hai
Top Urdushayar.com