Mohammad Aazam

hansi mein Tal rahe ho tum uske rone ko

Mohammad Aazam

Rudauli, Uttar pradesh, India

1941
hañsī meñ Taal rahe ho tum us ke rone ko
na dekhtā ho vo hone se pahle hone ko
salām bhuuk ko un kī karo jinhoñ ne kabhī
bachā.e rakkhā thā thoḌā anaaj bone ko
diye ga.e haiñ ḳhazāne unhī ko ahd-ba-ahd
rahā thā kuchh bhī nahīñ jin ke paas khone ko
ġhalat nahīñ ki lagātī haiñ paar maujeñ bhī
jo jāntī haiñ faqat Dūbne Dubone ko
bikharnā ye hai ki māyūs lauT jaatī hai
jo raat aatī hai mujh meñ mujhe samone ko
jo aaj dekho to baiThe haiñ nīl-kañTh bane
ga.e the ham bhī samundar kabhī bilone ko
pata chalā ki ye āñkheñ milī haiñ us ke liye
shab-e-firāq ke gul raat bhar pirone ko
kuchh āñsuoñ se hī nikle to nikle kaam koī
vo daaġh huuñ ki samundar bhī kam haiñ dhone ko
Top Urdushayar.com