talaf karegī kab tak aarzū kī jaan aarzū
taḌap rahī hai har taraf lahūluhān aarzū
phirā ke dīda-e-tapāñ meñ mom ke mujassame
kahāñ kahāñ karegī diid kā ziyān aarzū
zarā sā haath kyā lagā habāb sā bikhar gayā
jise samajh rahī thī ek āsmān aarzū
tū chashm hī meñ rah agar pasand hai kushādgī
ki dil hai tañg aur is meñ yak jahān aarzū
isī ke haiñ sabab se sab ye hijr kī sa.ūbateñ
kahāñ se aa ga.ī hamāre darmiyān aarzū
tū āftāb hai maiñ gul duā tire sukūn kī
kisī kī shaan qahr hai kisī kī shaan aarzū
ilāhī ḳhair itne sin pe āñdhiyoñ kī dostī
abhī to siikh paa.ī bhī nahīñ uḌaan aarzū
shajar hajar zamīn āsmān sab ko zo.af hai
magar ye ik javān kī rahī javān aarzū