asar aah kā gar dikhā.eñge ham
abhī khīñch kar tum ko lā.eñge ham
zarā rah tū ai dasht-e-āvārgī
tirā ḳhuub ḳhāka uḌā.eñge ham
fasāna tirī zulf-e-shab-rañg kā
baḌhegā jahāñ tak baḌhā.eñge ham
vahī dard-e-furqat vahī intizār
bhalā mar ke kyā chain pā.eñge ham
vo gumrāh ġhairoñ ke hamrāh hai
use raah par kyuuñ ki lā.eñge ham
qafas se huā izn-e-parvāz kab
ye ḳhvāhish hī dil se uḌā.eñge ham
tilism-e-mohabbat hai āshiq kā haal
unheñ bhī ye qissa sunā.eñge ham
vo naḳhvat se haiñ āsmāñ se pare
kahāñ se unheñ DhūñDh lā.eñge ham
na kar aah ye shorish-afzā.iyāñ
tujhe bhī kabhī āzmā.eñge ham
na TūTegā sar-rishta-e-iḳhtilāt
vo khīñcheñge jitnā baḌhā.eñge ham
ye maanā ki ho rashk-e-hūr-o-parī
magar ādamiyat sikhā.eñge ham
hazar tīr-e-mizhgāñ kī bochhāḌ se
ye ik dil kahāñ tak bachā.eñge ham
hameñ zahr-o-ḳhanjar kī kyuuñ hai talāsh
shab-e-ġham meñ kyā mar na jā.eñge ham
na niklā koī Dhab to ban kar ġhubār
nazar meñ tumhārī samā.eñge ham
kahāñ ghar meñ muflis ke farsh-o-farosh
vo aa.e to āñkheñ bichhā.eñge ham
tire qad se kī sarv ne ham-sarī
use aaj sīdhā banā.eñge ham
nahīñ ġhusl-e-mayyat kī jā qatl-gāh
magar ḳhāk-o-ḳhūñ meñ nahā.eñge ham
rah-e-ishq se nā-balad hai abhī
ḳhizar ko ye rasta batā.eñge ham
huā vasl bhī to mazā kaun sā
vo rūTheñge har dam manāeñge ham
shab-o-roz dil ko kuredeñ na kyuuñ
yahīñ se patā us kā pā.eñge ham
abas hai ye 'majrūh' tūl-e-amal
bakheḌe ye sab chhoḌ jā.eñge ham