Mohammad Aazam

rakkha tha jise dil mein wo ab hai bhi nahin bhi

Mohammad Aazam

Rudauli, Uttar pradesh, India

1941
rakkhā thā jise dil meñ vo ab hai bhī nahīñ bhī
yūñhī mire jiine kā sabab hai bhī nahīñ bhī
pahuñchā hai tire mahr se qutbain kā mausam
din thā to nahīñ bhī thā ye shab hai bhī nahīñ bhī
fariyād ne sīkhī hai tirī vaz-e-tabassum
is ruḳh se ki sharminda-e-lab hai bhī nahīñ bhī
hairat-kada-e-dahr hai ik ḳhvāb kā aalam
dekhā jo is aalam meñ ajab hai bhī nahīñ bhī
mil jaa.e to katrā.ūñ jo kho jaa.e to DhūñDūñ
ye kaisī talab hai ki talab hai bhī nahīñ bhī
ye hijr kī dozaḳh hī bhalī jaisī hai sab hai
is vasl kī jannat se ki sab hai bhī nahīñ bhī
Top Urdushayar.com