Mohammad Aazam

ye nashsha-e-agahi KHatarnak hai sar mein

Mohammad Aazam

Rudauli, Uttar pradesh, India

1941

ye nashsha-e-āgāhī ḳhatarnāk hai sar meñ

TuuTe haiñ mire paañv isī rāhguzar meñ

rim-jhim ke aqab-zār meñ bārāñ hai abhī aag

achchhā hai na dekhe vo mire dīda-e-tar meñ

sarmāya-e-jāñ yuuñ na uThā saare hijābāt

aañkh ke pardoñ badaulat hai nazar meñ

aañsū thā vo niklā to gayā toḌ ke har band

ḳhushbū thā ki ghar chhoḌ ke bhī rahtā hai ghar meñ

us bārgah-e-nāz se ham se fuqarā ko

ḳhairāt to miltī hai vale kāsa-e-sar meñ

rahtī haiñ mire saath vo āgāh nigāheñ

kuchh farq na thā varna mire aib-o-hunar meñ

Top Urdushayar.com