Mohammad Aazam

kaman saunp ke dushman ko apne lashkar ki

Mohammad Aazam

Rudauli, Uttar pradesh, India

1941
kamān sauñp ke dushman ko apne lashkar kī
kahā ki fat.h-o-zafar baat hai muqaddar kī
bulāvā laa.ī havā-e-bahisht phir ik baar
tuyūr jāñch karo apne apne shahpar kī
chalo rakh aa.eñ vahāñ ham bhī apne sar kā gulāb
sunā hai bahutoñ ne us kī galī mo.attar kī
pata chalā ki vahī hai nisāb se bāhar
mashaqqatoñ se jo maiñ ne kitāb azbar kī
ba-juz havāla-e-sad-zaḳhm-e-be-nishāñ kyā hai
ik aarzū ki jo dil se nikāl bāhar kī
pare hai sūrat-e-ḳhūbāñ talāsh-e-ma.anī se
mile na aab bhī kholeñ girah jo gauhar kī
hai muntazir pas-e-darvāza-fanā shāyad
jo ek bose meñ chhīne takān din bhar kī
Top Urdushayar.com