kahtā huuñ maiñ ki ġhair ne hargiz kahā nahīñ
tujh ko na ho qubūl jo merī duā nahīñ
in pāniyoñ kisī ko Dubo.e na sharm-e-shauq
maiñ aab aab us kī taraf dekhtā nahīñ
sau ruḳh se chūmtā hai tirā pairahan ḳhayāl
sab meñ huuñ merī jaan ye mauj-e-havā nahīñ
hairāñ khaḌā huuñ vasl-e-judā.ī ke darmiyāñ
maiñ kis shumār meñ huuñ agar ā.īna nahīñ
guzrā mire darūn se tū hī ba-rañg-e-umr
ab jaane vo darūn bhī merā thā yā nahīñ
chuTkī mahak uThī hai ye kaisī umiid kī
ab tak to dastaras meñ vo band-e-qabā nahīñ
kām-o-dahan ko baḳhsh chukā hai jo pahle niib
ab shahd sher de bhī to koī mazā nahīñ