Meer Mehdi Majrooh

gareban chaak hain gul bostan mein

Meer Mehdi Majrooh

1833-1903
garebāñ chaak haiñ gul bostāñ meñ
asar kitnā hai bulbul kī fuġhāñ meñ
qafas sayyād kā ḳhālī paḌā hai
na hoñ bechain kyuuñ kar āshiyāñ meñ
duā-e-vasl jā ab to asar tak
kiye nāloñ ne rauzan āsmāñ meñ
sune gar tāla-e-ḳhufta kā qissa
to niiñd aa jaa.e chashm-e-pāsbāñ meñ
zuleḳhā kī michī jaatī haiñ āñkheñ
kahīñ yūsuf na ho is kārvāñ meñ
tamām asbāb-e-duniyāvī ke badle
hai ik be-raunaqī apnī dukāñ meñ
sunā hāl-e-dil-e-'majrūh' shab ko
koī hasrat sī hasrat thī bayāñ meñ
Top Urdushayar.com