merī tarah zarā bhī tamāsha kiye baġhair
ro kar dikhāo aañkh ko giilā kiye baġhair
ġhairat ne hasrato kā garebāñ pakaḌ liyā
ham lauT aa.e arz-e-tamannā kiye baġhair
chehra hazār baar badal lījiye magar
maazī to chhoḌtā nahīñ pīchhā kiye baġhair
kuchh dostoñ ke dil pe to chhuriyāñ sī chal ga.iiñ
kī us ne mujh se baat jo parda kiye baġhair