ab is se pahle ki duniyā se maiñ guzar jā.ūñ
maiñ chāhtā huuñ koī nek kaam kar jā.ūñ
ḳhudā kare mire kirdār ko nazar na lage
kisī sazā se nahīñ maiñ ḳhatā se Dar jā.ūñ
zarūrateñ merī ġhairat pe tanz kartī haiñ
mire zamīr tujhe maar duuñ ki mar jā.ūñ
bahut ġhurūr hai bachchoñ ko merī himmat par
maiñ sar jhukā.e hue kaise aaj ghar jā.ūñ
mire aziiz jahāñ mujh se mil na sakte hoñ
to kyuuñ na aisī bulandī se ḳhud utar jā.ūñ