bārish rukī vabāoñ kā bādal bhī chhaT gayā
aisī chaleñ havā.eñ ki mausam palaT gayā
patthar pe gir ke ā.īna TukḌoñ meñ baT gayā
kitnā mire vajūd kā paikar simaT gayā
kaTtā nahīñ hai sard-o-siyah-rāt kā pahāḌ
sūraj thā saḳht dhuup thī din phir bhī kaT gayā
chhāleñ shajar shajar se utarne ko aa ga.iiñ
bosīda pairahan huā itnā ki phaT gayā
talvār be-yaqīnī ke hāthoñ meñ aa ga.ī
apne muqāble meñ har ik shaḳhs DaT gayā
jab tak na chhū ke dekhā thā vus.at thī aap meñ
dekhā to chhūī-mūī kā paudā simaT gayā
saaya thā bhāgtā thā bahut merī dhuup se
vo shaḳhs ki jo mere gale se chimaT gayā