palkoñ pe rukā qatra-e-muztar kī tarah huuñ
bāhar se bhī bechain maiñ andar kī tarah huuñ
bāhar se mire jism kī dīvār khaḌī hai
andar se maiñ ik TuuTe hue ghar kī tarah huuñ
nazroñ se girā do ki mujhe devtā maano
patthar ke tarāshe hue paikar kī tarah huuñ
chhā.ī haiñ mire sar pe siyah-posh ghaTā.eñ
maiñ sub.h meñ bhī shaam ke manzar kī tarah huuñ
andar kī chaTānoñ se na Takrā ke bikhar jā.ūñ
maiñ biphrā huā ḳhud pe samundar kī tarah huuñ
tum jalva-numā ho to khulī haiñ mirī āñkheñ
aa lipTo badan se to maiñ chādar kī tarah huuñ
rahtā hai kahīñ jism bhaTaktī hai kahīñ ruuh
ghar meñ huuñ magar aaj maiñ be-ghar kī tarah huuñ
aqdār kī uThtī huī dīvār meñ chun lo
raste meñ paḌā maiñ kisī patthar kī tarah huuñ