Yaseen Afzal

ret ke ek shahr mein aabaad hain dar dar ke log

Yaseen Afzal

ret ke ik shahr meñ ābād haiñ dar dar ke log
be-zamīñ be-āsmāñ be-pāñv ke be-sar ke log
merā ghāyal jism hai merī rihā.ish kā pata
maiñ jahāñ rahtā huuñ rahte haiñ vahāñ patthar ke log
ek ik lamha hai qatra zindagī ke ḳhuun kā
āfiyat kā saañs bhī lete haiñ to Dar Dar ke log
aur dīvāroñ se dīvāreñ nikaltī haiñ abhī
saath rah kar bhī alag rahte haiñ saare ghar ke log
chāñd miTTī kā diyā hai ye kise ma.alūm thā
āsmāñ-dar-āsmāñ uḌte rahe be-par ke log
jhāñk kar dekhā hai ham ne vaqt ke hammām meñ
apne hī jaise nazar aa.e haiñ duniyā-bhar ke log
Top Urdushayar.com