Meer Mehdi Majrooh

harf tum apni nazakat pe na lana hargiz

Meer Mehdi Majrooh

1833-1903
harf tum apnī nazākat pe na laanā hargiz
haath bedād-o-sitam se na uThānā hargiz
tum bhī chorī ko yaqīñ hai na kahoge achchhā
ab hameñ dekh ke āñkheñ na churānā hargiz
ishq hai ek magar āfat-e-nau hai har-dam
ye vo mazmūñ hai ki hogā na purānā hargiz
yahī andāz to haiñ dil ke uḌā lene ke
un kī tum nīchī nigāhoñ pe na jaanā hargiz
sabab-e-qatl-e-mohabbat hai agar ai zālim
to mirā jurm kisī ko na batānā hargiz
dil-e-ḳhūñ-gashta kā ho raaz na ifshā ai chashm
ashk-e-gul-rañg kā Tapkā na lagānā hargiz
huuñ tunak-zarf na jhelūñgā sharāb-e-pur-zor
parda yakbār na chehre se uThānā hargiz
ham se bīmār bhī jāñ-bar kahīñ hote haiñ masīh
tum yahāñ aa ke na taklīf uThānā hargiz
jins-e-nāyāb ke hote haiñ hazāroñ gāhak
tum patā apnā kisī ko na batānā hargiz
maiñ to kyā us se to muusā bhī na sar-bar aa.e
imtihānan hameñ jalva na dikhānā hargiz
jo chalā tīr-e-sitam dil se vo guzrā ai charḳh
terā ḳhālī na gayā koī nishānā hargiz
zikr barbādī-e-dehlī kā sunā kar hamdam
neshtar zaḳhm-e-kuhan par na lagānā hargiz
āb-e-rafta nahīñ phir bahr meñ phir kar aatā
dehlī ābād ho ye dhyān na laanā hargiz
vo to baaqī hī nahīñ jin se ki dehlī thī murād
dhokā ab naam pe dehlī ke na khānā hargiz
getī-afroz agar hazrat-e-nayyar rahte
itnā tārīk to hotā na zamānā hargiz
ab to ye shahr hai ik qālib-e-be-jāñ hamdam
kuchh yahāñ rahne kī ḳhushiyāñ na manānā hargiz
dar-e-mai-ḳhāna huā band sadā ye hai buland
yaañ harīfān-e-qadah-ḳhvār na aanā hargiz
allāh allāh vo navvāb-e-ulā.ī ke kalām
jin se rañgīñ nahīñ bulbul kā tarānā hargiz
tū to hai 'anvar'-o-'maikash' kī judā.ī kā nishāñ
dil-e-pur-dard se ai daaġh na jaanā hargiz
saut-e-bulbul taraf-añgez sahī par hamdam
dard farsūda diloñ ko na sunānā hargiz
maiñ huuñ ik majma-e-ahbāb kā bichhḌā gulchīñ
mujh ko gul-dasta-e-rañgīñ na dikhānā hargiz
jam.a hai majma-e-ahbāb fazā meñ terī
ai tasavvur ye muraqqa.a na miTānā hargiz
dil meñ haiñ hasrat-o-andoh ke ambār lage
itnā yakjā na kahīñ hogā ḳhazānā hargiz
sāqī-e-bazm tirī tarz-e-taġhāful ke nisār
durd-e-mai kā bhī idhar jaam na laanā hargiz
qahr lā.eñge ye tāle.a jo zarā bhī chete
ai falak ḳhvāb se un ko na jagānā hargiz
mahfil-e-aish se gar haz ho uThānā ai dost
ham se āzurda-diloñ ko na bulānā hargiz
dār-e-fānī meñ na kar fikr-e-qayām ai nādāñ
guzar-e-sail hai yaañ ghar na banānā hargiz
jin ke aivān the ham-palla-e-qasr-e-qaisar
un kī miltā nahīñ qabroñ kā Thikānā hargiz
vo ga.e din jo chaman-zār meñ dil lagtā thā
sach hai yaksāñ nahīñ rahtā hai zamānā hargiz
ham-safīrān-e-chaman sab hue garm-e-parvāz
ab ḳhush aatā nahīñ gulzār meñ jaanā hargiz
zaġhan-o-zāġh kī gulshan meñ sadā hai har sū
murġh-e-ḳhush-naġhma na āvāz sunānā hargiz
qasr-e-hālī ke havālī meñ zarā tum 'majrūh'
apnī DeḌh iiñT kī masjid na banānā hargiz
Top Urdushayar.com