Ahmad Rahi

aam hai kucha-o-bazar mein sarkar ki baat

Ahmad Rahi

Amritsar, Punjab, India

1923-2002
aam hai kūcha-o-bāzār meñ sarkār kī baat
ab sar-e-rāh bhī hotī hai sar-e-dār kī baat
ham jo karte haiñ kahīñ misr ke bāzār kī baat
log pā lete haiñ yūsuf ke ḳharīdār kī baat
muddatoñ lab pe rahī nargis-e-bīmār kī baat
kījiye ahl-e-chaman ab ḳhalish-e-ḳhār kī baat
ġhunche dil-tañg havā band nasheman vīrāñ
bā.is-e-marg hai mere liye ġham-ḳhvār kī baat
bū-e-gul le ke sabā kunj-e-qafas tak pahuñchī
laakh pardoñ meñ bhī phailī shab-e-gulzār kī baat
zindagī dard meñ Duubī huī lai hai 'rāhī'
aise aalam meñ kise yaad rahe pyaar kī baat
Top Urdushayar.com